Wednesday 11 January 2012

Agneepath (2012)

  • Movie Name: Agneepath (2012)
  • Producer: Karan Johar
  • Star Cast: Hrithik Roshan, Sanjay Dutt and Priyanka Chopra
  • Music Director: Ajay – Atul
Song Track List
  1. Chikni Chameli
  2. O Saiyyan
  3. Gun Gun Guna
  4. Shah Ka Rutba
  5. Abhi Mujh Mein Kahin
  6. Deva Shree Ganesha
1. Lyrics of Chikni Chameli
Singer: Shreya Ghoshal

Bicchu mere naina, badi zehereeli akkh maare
Kamsin kamariya saali, ik thumke se lakh maare
Haye
Bicchu mere naina, badi zehereeli akkh maare
Kamsin kamariya saali, ik thumke se lakh maare
Note hazaaron ke, khulla chhutta karaane aayi
Husn ki teeli se, beedi chillam jalaane aayi
Aayi chikni chameli chhup ke akeli pahua chadha ke aayi – 4 times
Jungle mein aaj mangal karungi
Bhookhe sheron se khelungi main
Makkhan jaisi hatheli pe jalte angaare le lungi main
Haye gehre paani ki machhli hoon Raja
Ghaat ghaat dariya mein ghoomi hoon main
Teri nazron ki leheron se haar ke doobi hoon main
Hoye jaan leva jalwa hai
Dekhne mein halwa hai
Jaan leva jalwa hai
Dekhne mein halwa hai
Pyaar se paros doongi toot le zara
Yeh toh trailer hai, poori filum dikhane aayi
Husn ki teeli se, beedi chillam jalaane aayi
Aayi chikni chameli chhup ke akeli pahua chadha ke aayi – 4 times
Hey banjar basti mein aayi hai masti
Aisa namkeen chehra tera
Meri neeyat pe chehke chhote na hai rang gehra tera
Joban yeh mera khychi hai Raja
Saare pardon ko kaatungi main
Shaame meri akeli hai sang tere baatungi main
Haye baaton mein ishaara hai
Jisme khel saara hai
Baaton mein ishaara hai
Jisme khel saara hai
Todh ke tijoriyon ko loot le zara
Choom ke zakhmo pe, thoda malham lagaane aayi
Husn ki teeli se, beedi chillam jalaane aayi
Aayi chikni.. aayi chikni..
Aayi chikni chameli chhup ke akeli pahua chadha ke aayi – 4 times
 
2. Lyrics of O Saiyyan
Singer: Roop Kumar Rathod

Meri adhoori kahaani
Lo daastaan bann gayi
Ho tune chhuaa aaj aise
Main kya se kya bann gayi
Sehme hue sapne mere, haule haule angdaiyaan le rahe
Thehre hue lamhe mere, nayi nayi gehraiyaan le rahe
Zindagi ne pehni hai muskaan karne lagi hai itna karam kyun na jaane
Karvat lene lage hain armaan phir bhi
Hai aankh num kyun naa jaane o saiyyan
Odhu teri kaaya
Solah singaar main saja loon
Sangam ki yeh raina, iss mein tyohaar main mana loon
Khushboo teri choo ke, kastoori ho jaaun
Kitni pheeki thi main, sindoori ho jaaun
Sur se zara behki hui, meri duniya thi badi besuri
Sur mein tere, dhalne lagi
Bani re piya main bani baansuri
Zindagi ne pehni hai muskaan karne lagi hai itna karam kyun na jaane
Karvat lene lage hai armaan phir bhi
Hai aankh num kyun naa jaane o saiyyan
Mere aasmaan se, jo hamesha gumshuda thay
Chaand taare, tune gardishon ki, lai badal di
Laut aaye, aaj saare
O saiyyan
 
3. Lyrics of Gun Gun Guna
Singer(s): Sunidhi Chauhan, Udit Narayan

Gun gun guna re, gun gun guna re, gun gun guna yeh gaana re – 6 times
Ho maayusion ke chonge utaar ke phenk de na saare
Candle yeh shaam ka phoonk raat ka cake kaat pyaare
Seekha na tune yaar humne magar sikhaaya re
Dumdaar nuska yaar humne jo aazmaaya re
Aasuon ko chooran chaba ke humne dakaar maara re
Gun gun guna re, gun gun guna re, gun gun guna yeh gaana re – 2 times
Hmm hain sar pe tere ke jhaloke yeh tokre
Laa humko dede halka hoja re tu chhokre
Jo teri neendein apne naakhun se noch le woh
Dard saare jalte chulhe mein tu jhonk re
Zindagi ke raashan mein, gham ka gota zyada hai
Black mein khareedenge khushi ka pitaara re
Gun gun guna re, gun gun guna re, gun gun guna yeh gaana re – 2 times
Ho aye ho
Tu munh phulaa le sooraj bhi dhalne lage
Arrey tu muskura de chand ka bulb jalne lage
Tu chup rahe toh maano behri lage zindagi
Tu bol de toh parde kaano ke khulne lage
Ek bandh bottle ke, jaisa kya haa baitha hai
Khaali dil se bhar de na, glass yeh hamara re
Gun gun guna re, gun gun guna re, gun gun guna yeh gaana re – 2 times
Ho bindaas hoke har gham ko yaar khoonti pe taang dunga
Thoda udhaar itminaan main tumse hi maang lunga
Hai seekha hai maine jo tumne sikhaaya re
Dumdaar nuska yaar maine bhi aazmaaya re
Aasuon ka chooran chaba ke maine dakaar maara re
Gun gun guna re, gun gun guna re, gun gun guna yeh gaana re – 3 times
 
4. Lyrics of Shah Ka Rutba
Singer(s): Sukhwinder Singh, Anand Raaj Anand, Krishna Beura

Shah ka rutba shehanshaho si teri baat hai
(shah ka rutba shehanshaho si teri baat hai)
Hoo shahon ka jo shah uska tere sar pe haath hai
(shahon ka jo shah uska tere sar pe haath hai)
Tere kadmon ke tale mitti bhi sona bann gayi
Jar hua dushman jahan shamsheer teri tann gayi haan
Tu vali hai tu meherbaan, ehemi-gehba hai tuhi
Hai farishte bhi barastish mein teri kurbaan wallah
Tu vali hai tu meherbaan, ehemi-gehba hai tuhi
Bann gaya kanoon jo bhi tu likhe parvaan wallah ho
Nazaara jannaton ka aaj tere rubaru hai
Tera lakhte jigar saaya hai tera hubahu hai
Haan sadke aaj uske sar ke sehre ke sabhi hain
Ke teri saltanat ke takht ka jaan-e-sheen hai
Guroor yeh, jalwa rahe
Udhta puha, muktha rahe
Teri jeet ki raftaar se har haar hai iss tarahe
Teri kismat khud tere haathon khilauna bann gayi
Jar hua dushman jahan shamsheer teri tann gayi
Tu vali hai tu meherbaan, ehemi-gehba hai tuhi
Hai farishte bhi barastish mein teri kurbaan wallah
Tu vali hai tu meherbaan, ehemi-gehba hai tuhi
Bann gaya kanoon jo bhi tu likhe parvaan wallah ho
Ghar deewane aam na ho, koi akbar na hua
Jo tumhare sar jhuke toh shenshah main hua
Allah raha mera har pal hafeez
Toh safar yeh tai hua
Ghar deewane aam na ho koi akbar na hua
(ya wallah ya maula..)
Chaar majboot naujawan kandhe
Tujhko tere khuda ne bakshe hain
Innke haathon ki jo lakeerein hain
Tere dono jahan ke nakhshe hain
Zindagi toh har kadam nayi dishaat hai
Yeh hi toh mere shehmaat hain
Yeh dono meri kaayenaat hain ya
Chaar majboot naujawan kandhe
Tujhko tere khuda ne bakshe hain
Innke haathon ki jo lakeerein hain
Tere dono jahan ke nakhshe hain
(ya wallah ya maula..)
 
5. Lyrics of Abhi Mujh Mein Kahin
Singer: Sonu Nigam

Abhi mujh mein kahin, baaki thodi si hai zindagi
Jagi dhadkan nayi, jaana zinda hoon main toh abhi
Kuch aisi lagan iss lamhe mein hai
Yeh lamha kahaan tha mera
Ab hai saamne, isse chhoo loon zara
Marr jaaun ya jee loon zara
Khushiyaan choom loon
Ya ro loon zara
Marr jaaun ya jee loon zara
Hoo abhi mujh mein kahin, baaki thodi si hai zindagi
Hoo dhoop mein jalte hue tann ko, chhaya pedh ki mil gayi
Roothe bacche ki hansi jaise, phuslaane se phir khil gayi
Kuch aisa hi ab dil ko mehsoos ho raha hai
Barson ke puraane zakhmon pe marham laga sa hai
Kuch aisa rehem, iss lamhe mein hai
Ye lamha kahaan tha mera
Ab hai saamne, isse chhoo loon zara
Marr jaaun ya jee loon zara
Khushiyaan choom loon
Ya ro loon zara
Marr jaaun ya jee loon zara
Dor se tooti patang jaisi, thi yeh zindagaani meri
Aaj hoon kal ho mera na ho
Har din thi kahaani meri
Ek bandhan naya peeche se ab mujhko bulaaye
Aane wale kal ki kyun fikar mujhko sataa jaaye
Ik aisi chubhan, iss lamhe mein hai
Yeh lamha kahaan tha mera
Ab hai saamne, isse chhoo loon zara
Marr jaaun ya jee loon zara
Khushiyaan choom loon
Ya ro loon zara
Marr jaaun ya jee loon zara
 
6. Lyrics of Deva Shree Ganesha
Singer: Ajay Gogavale

EmoticonEmoticon