Tuesday 14 February 2012

Ik Junoon (Paint It Red)

Singer(s): Vishal Dadlani, Shankar Mahadevan, Ehsaan Noorani, Gulraj Singh, Alyssa Mendonsa
Music Director(s): Shankar-Ehsaan-Loy
Lyricist(s): Javed Akhtar
 
Lyrics

paint it paint it paint it ..

oo aa take the world and paint it red oo aa paint it red - 2
ik junoon ik deewangi har taraf har taraf
bekhudi - 3 har taraf har taraf
kahe halke halke yeh rang jhalke jhalke
jo kisse hain kal ke bhula de tu
koi haule haule mere dil se bole
kisi ka toh hone chal jaane de koi jadu..
(oo aa take the world and paint it red
oo aa paint it red)- 2 cool say
ek junoon ek deewangi har taraf har taraf
bekhudi bekhudi bekhudi har taraf har taraf

yeh pal joh bharpur hai jo nashe mein chur hai
iss pal ke daaman mein hai madhoshiyan
ab toh yeh andaaz hai haathon haathon saaz hai
aawazo mein ghulti hai ranginiyan
and take the world and

and paint the world and

kahe halke halke yeh rang jhalke jhalke
jo kisse hain kal ke bhula de tu
koi haule haule mere dil se bole
kisi ka toh hone chal jaane de koi jadu..
(oo aa take the world and paint it red oo aa paint it red) - 2

oo aa oo aa - 2
sab zanjirein todh ke saare uljan chod ke hum hai dil hai aur hai awaargi
kuch din se hum log par aata hai sab ko nazar aaya hai jo daur hai awaargi
and take the world and

and paint the world and

kahe halke halke yeh rang jhalke jhalke
jo kisse hain kal ke bhula de tu
koi haule haule mere dil se bole
kisi ka toh hone chal jaane de koi jadu..
(oo aa take the world and paint it red oo aa paint it red) - 6

Toh Zinda Ho Tum

Singer(s): Farhan Akhtar
Music Director(s): Shanakar-Ehsaan-Loy
Lyricist(s): Javed Akhtar
 
Lyrics

dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum
nazar mein khwaabon ki beejliyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum
hawa ke jhokon ke jaise aazad rehna sikho
tum ek dariya ke jaise lehron mein behna sikho
har ek lamhe se tum milo khole apni baahein
har ek pal ek naya samaa dekhiye
jo apni aankhon mein hayraniyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum
dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum

Sooraj Ki Baahon Mein

Singer(s): Dominique Cerejo, Clinton Cerejo, Loy Mendonca
Music Director(s): Shankar-Ehsaan-Loy
Lyricist(s): Javed Akhtar

Lyrics

sooraj ki baahon mein ab hai yeh zindagi
kirney hain saanson mein baaton mein roshni- 2

jo bhi badali dil ki taal hai aha yunhi hi aaya ek khayal hai aha
paate hum hai zindagi ek baar kyun na kare khulke hum issko pyaar
jaane kiska hai hume intezar ke zindagi yehi hai aur yenhi

jo bhi kal tak bus aarzo aha woh hi paa gaye hain main aur tu aha
thaame hum haathon mein yunhi haath shehar dil mein ghumenge saath saath
saare saare din saari saari raat daras rahi hai ik khushi har kahin
sooraj ki baahon mein ab hai yeh zindagi
kirnay hain saanson mein baaton mein roshni- 2

naye naye sapne jo bunn sakey ussi zindagi ko kahun zindagi
naye naye rasste jo chun sake ussi zindagi ko kahun zindagi
har pal machalti ho jhum ke chalti ho woh hai zindagi
sooraj ki baahon mein ab hai yeh zindagi
kirnay hain saanson mein baaton mein roshni- 2

paate hum hai zindagi ik baar kyun na kare khulke hum isko pyaar
jaane kiska hai hume intezar ke zindagi yehi hai aur yenhi
sooraj ki baahon mein ab hai yeh zindagi
kirnay hain saanson mein baaton mein roshni- 3
sooraj ki ab hai yeh kirnay hain saanson mein baaton mein roshni

Senorita

Singer(s): Farhan Akhtar, Hrithik Roshan, Abhay Deol, Maria Del Mar Fernandez
Music Director(s): Shanakar-Ehsaan-Loy
Lyricist(s): Javed Akhtar
 
Lyrics

na main samjha na main jaana jo bhi tumne mujhse kaha hai senorita
magar phir bhi na jaane kyun mujhe sunke accha laga hai senorita

mujhko baahon mein tum ghero samjhi na senorita
chaahat ke do pal bhi mil paaye duniya mein yeh bhi kum hai kya
do pal ko toh aao kho jaaye
bhule hum hota gumm hai kya senorita suno suno senorita kehte hain hum kya

nighaahon ne nighaahon se kahi armaano ki dastaan hai senorita
yeh chaahat ki mohabbat ki saari duniya mein ek hi zubaan hai senorita
mujhse ab nazar na phero aao paas tum mere
mujhko baahon mein tum ghero samjhi na senorita
chaahat ke do pal bhi mil paaye duniya mein yeh bhi kum hai kya
do pal ko toh aao kho jaaye
bhule hum hota gumm hai kya senorita suno suno senorita kehte hain hum kya

jo bhi pal bita hey senorita
har pal tumne hai dil jita bus itni si toh baat hai

mujhko baahon mein tum ghero samjhi na senorita
(chaahat ke do pal bhi mil paaye duniya mein yeh bhi kum hai kya
do pal ko toh aao kho jaaye  bhule hum hota gumm hai kya) - 2

Dil Dhadakne Do

Singer(s): Joi Barua, Suraj Jagan, Shankar Mahadevan
Music Director(s): Shankar-Ehsaan-Loy
Lyricist(s): Javed Akhtar
Hindi Lyrics


hey hey chalo na dhundhe shehar naya
jahaan muskurahatien hain bikhari jahaan se gum ka mausam gaya
jahaan mithi baatein har ek ajnabi se ho
bhule hum bhi jo saari fikrein lamha lamha khushiyan bikhrein
idhar udhar aur yahan wahan jayein wahin dil kahe jahaan
baby baby baby kab tak giney hum dhadkane
dil jaise dhadke dhadakne do
kyun hai koi aag dabi shola jo bhadke bhadakne do

hey hey chalo na gaaye naye naye geet
khel aisa kyun na koi khele jisame sabhi ki ho jeet
inn dino phul aur taare koi bhi dekhta nahin
dekhe unko deewane hoke koi kitna bhi humko toke
khuli hawa ho khula samaa jaage huye ho sab armaan
baby baby baby kab tak giney hum dhadkane
dil jaise dhadke dhadakne do kyun hai koi aag dabi
shola jo bhadke bhadakne do

humse dil ne kahin jo baatein aao maan le
jisspe chalta nahin hai koi raah woh chale
thodi aawargi ho thodi thodi madhoshiyan ho baby
hum ho tum ho baby tell me kab tak giney
hum dhadkane dil jaise dhadke dhadakne do
(kyun hai koi aag dabi shola jo bhadke bhadakne do
kab tak giney hum dhadkane dil jaise dhadke dhadakne do) - 2
kyun hai koi aag dabi shola jo bhadke bhadakne do

Sunday 12 February 2012

Yeh Tumhaari Meri Baatein

Tags
Singer(s): Dominique Cerejo
Music Director(s): Shankar-Ehsaan-Loy
Lyrics


yeh tumhaari meri baatein hamesha yu hi chalati rahein
yeh hamaari mulaakaatein hamesha yu hi chalati rahein
beetein yu hi apne saare din raat
baaton se nikalati rahein nayi baat
phir wahi baatein leke geet koyi hum likhein
jo dil ko, ha sabke dil ko chhu le
baatein suron mein yu hi pighalati rahein
baatein geeton mein yu hi dhalati rahein

geeton mein haan hum toh khushiyon se gum saja de
jo sune kahe woh hamse gaao na
yeh tumhaari meri baatein hamesha yu hi chalati rahein
yeh hamaari mulaakaatein hamesha yu hi chalati rahein
beetein yu hi apne saare din raat
baaton se nikalati rahein nayi baat
phir wahi baatein leke geet koyi hum likhein
jo dil ko, ha sabke dil ko chhu le
baatein suron mein yu hi pighalati rahein
baatein geeton mein yu hi dhalati rahein

Tum Ho Toh Gaata Hai Dil

Tags
Music Director(s): Shankar-Ehsaan-Loy
Lyricist(s): Javed Akhtar
Lyrics

tum ho toh gaata hai dil, tum nahi toh geet kaha
tum ho toh hai sab haasil, tum nahi toh kya hai yaha
tum ho toh hai sapano ke jaisa hasin ik sama
jo tum ho toh, yeh lagata hai, ke mil gayi har khushi
jo tum na ho, yeh lagata hai, ke har khushi me hai kami
tum ko hai maangati..... yeh jindagi.....

tum hi toh raahein bhi hai, tum nahi toh raste kahaan
tum ho toh yahaan sab hi hai, tum nahi toh kaun yahaan
tum ho toh hai har ek pal meherbaan yeh jahaan
jo tum ho toh hawa mein bhi mohabbaton ka rang hai
jo tum na ho toh phir koyi na josh na umang hai
tum mile toh mili yeh jindagi....

Socha Hai Yeh Tumne Kya Kabhi

Tags
Music Director(s): Shankar Ehsaan Loy
Lyricist(s): Javed Akhtar
Lyrics

aasmaan hai nila kyun, paani gila gila kyun
gol kyon hai jameen
sukh mein hai narmi kyun, aag mein hai garmi kyun
do aur do paanch kyun nahi
ped ho gaye kam kyun, tin hai yeh mausam kyun
chaand do kyun nahi
duniya mein hai jung kyun, behata laal rang kyun
sarhadein hai kyun har kahin
socha hai, yeh tumne kya kabhi
socha hai, ki hai yeh kya sabhi
socha hai, socha nahi toh socho abhi
behati kyun hay har nadi, hoti kya hai roshani
barf girati hai kyun
ladate kyun hai ruthate taare kyun hai tutate
baadalon mein bijali hai kyun
socha hai, yeh tumne kya kabhi
socha hai, ki hai yeh kya sabhi
socha hai, socha nahi toh socho abhi

sannata sunayi nahi deta, aur hawaaye dikhaayi nahi deti
socha hai kya kabhi, hota hai yeh kyun

aasmaan hai nila kyun, paani gila gila kyun
gol kyon hai jameen
sukh mein hai narmi kyun, aag mein hai garmi kyun
do aur do paanch kyun nahi
ped ho gaye kam kyun, tin hai yeh mausam kyun
chaand do kyun nahi
duniya mein hai jung kyun, behata laal rang kyun
sarhadein hai kyun har kahin
(socha hai, yeh tumne kya kabhi
socha hai, ki hai yeh kya sabhi
socha hai, socha nahi toh socho abhi) -2

Sinbaad The Sailor

Tags
Singer(s): Farhan Akhtar, Raman Mahadevan
Music Director(s): Shankar-Ehsaan-Loy
Lyricist(s): Javed Akhtar


sinbaad the sailor jahaaj me jab chala, mere yaar sun lo sun lo
dhundh raha tha ek nayi duniya ka pata, mere yaar sun lo sun lo
woh anjaani raahon me tha o o
woh leharo ki baahon me tha o o
sab ne kaha tha in samundaro me jaana nahi, mere yaar sun lo sun lo
khwaabo ke pichhe jaake kuchh bhi hai paana nahi, mere yaar sun lo suno
woh apni hi dhun me raha o o
woh sunata tha dil ka kaha o o
(usake the jo sapne, wohi usake the apne
aisa tha sinbaad the sailor, sailor....) -2

usaka jahaj khila tufano me, mere yaar sun lo sun lo
phir bhi na aayi kami usake armaano me, mere yaar sun lo sun lo
woh deewana aisa hi tha o o
woh sapano ka hamrahi tha o o
(usake the jo sapne, wohi usake the apne
aisa tha sinbaad the sailor, sailor....) -2

woh kuchh paane ki chaah me o o
woh badhata raha raah me o o
gehara samundar tha unchi unchi lehren, mere yaar sun lo sun lo
kashtiya jin dekhi mushkil se thehare, mere yaar sun lo sun lo
woh saahil tak aa hi gaya o o
woh manjil ko paa hi gaya o o
(usake the jo sapne, wohi usake the apne
aisa tha sinbaad the sailor, sailor....) -2

tum ho toh gaata hai dil, tum nahi toh geet kaha
tum ho toh hai sab haasil, tum nahi toh kya hai yaha
tum ho toh hai sapano ke jaisa hasin ik sama
jo tum ho toh, yeh lagata hai, ke mil gayi har khushi
jo tum na ho, yeh lagata hai, ke har khushi me hai kami
tum ko hai maangati yeh jindagi

Rock On, Hai Yeh Waqt Ka Ishaara

Tags
Music Director(s): Shankar-Ehsaan-Loy
Lyricist(s): Javed Akhtar
Lyrics


dil kya kehata hai mera kya main bataau
tum yeh samajhoge shaayad main paagal hoon

dil kya kehata hai mera kya main bataau
tum yeh samajhoge shaayad main paagal hoon
dil karta hai tv tower pe main chadh jaau
chilla chillake main yeh sabse keh du
rock on, hai yeh waqt ka ishaara
rock on, har lamha pukaara
rock on yuun hi dekhata hai kya tu
rock on jindagi milegi na dobaara

dil karta hai sadko par jor se gaau
sab apane apne ghar ki khidaki khole
phir main aise joshilein geet sunaau
mere geeto ko sunke sab yeh bolein
rock on, hai yeh waqt ka ishaara
rock on, har lamha pukaara
rock on yuun hi dekhata hai kya tu
rock on jindagi milegi na dobaara

jaise jine ko dil chaahe ji waise tu
meri toh hai bas yeh raay ki
apne jitane bhi armaan hain pure karle tu

(rock on, hai yeh waqt ka ishaara
rock on, har lamha pukaara
rock on yuun hi dekhata hai kya tu
rock on jindagi milegi na dobaara
rock on, hai yeh waqt ka ishaara
rock on, har lamha pukaara
rock on yuun hi dekhata hai kya tu
rock on jindagi milegi na dobaara)

Pichhale Saat Dinon Mein Maine Khoya

Tags
Music Director(s): Shankar-Ehsaan-Loy
Lyricist(s): Javed Akhtar
 
Lyrics
meri laundry ka ek bill, ek aadhi padhi novel
ek ladki ka phone number, mere kaam ka ek paper
mere taash se heart ka king, mera ik chaandi ka ring
pichhale saat dinon mein maine khoya
kabhi khud pe hansa main, aur kabhi khud pe roya

present mili ek ghadi, pyaari thi mujhe badi
meri jeb ka ek packet, meri denim ki jacket
do one day match ke passes, mere naye naye sunglasses
pichhale saat dinon mein maine khoya
kabhi khud pe hansa main, aur kabhi khud pe roya

kaise bhulu saatva jo din aaya
kisi ne tumse ik party mein milvaaya
kaisa pal tha, jis pal maine tumko pehali baar dekha tha
hum jo mile pehli baar, maine jaana kya hai pyar
maine hosh bhi khoya, dil bhi khoya
kabhi khud pe hansa main, aur kabhi khud pe roya

maine pichhale saat dino mein, ye sab hai khoya

Phir Dekhiye

Tags
Singer(s): Caralisa Monteiro
Music Director(s): Shankar-Ehsaan-Loy

aankhon mein jisaki koyi toh khaab hai
khush hai wahi jo thoda betaab hai
jindagi mein koyi aarju kijiye, phir dekhiye
honto pe jisake koyi toh geet hai
woh haare bhi toh usaki hi jeet hai
dil mein jo geet hai gunguna lijiye, phir dekhiye

yaadon mein jisake kisika naam hai
sapano ke jaisi usaki har shaam hai
koyi toh ho jise apana dil dijiye, phir dekhiye

khaab buniye jara, geet suniye jara
phul chuniye jara, phir dekhiye

Jehrile Jehrile, Kaale Nile Pile

Tags
Singer(s): Suraj Jagan
Music Director(s): Shankar-Ehsaan

one two three four
ghaas mein hai tinake jitane, rengate hai saanp utane
kya bataau hai yeh kitane, saanp hi saanp hai yahaan wahaan
kya dil mein saanp basate hai, sapno saanp dasate hai
baithe guthali maarke saanp fankaare
saanp hain fankaarate ho.....
jehrile jehrile, kaale nile pile
paththar ki hai aankhein, daat hai nukile

duniya saanpo ka ban hai, chehara sabka jaise fan hai
baithe guthali maarke saanp fankaare
saanp hain fankaarate ho.....
jehrile jehrile, kaale nile pile
paththar ki hai aankhein, daat hai nukile

jag mein saanp basate hai, sabko saanp dasate hai
baithe guthali maarke saanp fankaare
saanp hain fankaarate ho.....
(jehrile jehrile, kaale nile pile
paththar ki hai aankhein, daat hai nukile)
(jehrile jehrile, kaale nile pile
paththar ki hai aankhein, daat hai nukile)